Wednesday 6 May 2020

#fightagainstcorona #india

Aj sadke khamosh hai,
Pr gharo mai khushiyon ka shor hai,
Pure Vishw ko ekkta dikhana ab, hindustaniyon ki baari hai,
Corona k khilaaf ladna har naagrik ki zimmedari hai!!
Kudrat hume sabak sikha rha hai,
Apni taaqat ka jhanda lehraah rha hai,
Ab ye khel samjhna hum insaano ki baari hai,
Prakriti ki rakshaa krna hmari zimmedari hai!!
Lakho ki zindgi bachayi h,
Khud ki daav pr lgayi h,
Ab unko salaam krne ki, hmari baari hai,
Desh ki muskurahat wapas laana hamari zimmedari hai!!
Bharat ki shaan kbhi jhukane naa dena hai,
Mazhaabo ka bhed khtm krna hai,
Ab har tyohaar sath manaane ki baari hai,
Agli peedhi ko insaaniyat ka dharm sikhane ki hmari zimmedari hai!!
                                                 ~JazBaaT



No comments:

Post a Comment